Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

na ai dil surat-e-shaiKH-e-haram diwana ban jaana

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863
na ai dil sūrat-e-shaiḳh-e-haram dīvāna ban jaanā
kahīñ aanā na jaanā zā.er-e-but-ḳhāna ban jaanā
tumhārī dīda-e-maḳhmūr ko ye ḳhuub aatā hai
kabhī shīsha kabhī sāġhar kabhī paimāna ban jaanā
ajab aalam hai mad-hosh kā terī josh-e-mastī meñ
kabhī dīvāna ban jaanā kabhī mastāna ban jaanā
dil-e-sozāñ dikhānā jalva husn-o-ishq donoñ kā
kahīñ sham-e-shabistāñ aur kahīñ parvāna ban jaanā
ye thī talqīn-e-sāqī vaqt-e-ruḳhsat apnī mastoñ ko
kahīñ dīvāna ban jaanā kahīñ farzāna ban jaanā
usī meñ kuchh mafar apnā nazar aayā hasīnoñ ko
ki jā kar der meñ chupke but-e-but-ḳhāna ban jaanā
karishme haiñ ye saare jalva-e-husn-e-haqīqī ke
kahīñ āshiq kahīñ andāz-e-māshūqāna ban jaanā
navā-e-rāz sāz-e-ishq be-ḳhud kyuuñ na kar Daale
ki har parde se aatī hai sadā dīvāna ban jaanā
yahī ibrat-sarā-e-dahr kā har roz naqsha hai
kahīñ kāshāna ho jaanā kahīñ vīrāna ban jaanā
ḳhabar kis ko thī yuuñ aalam meñ rusvā.ī mirī hogī
ki unvān-e-mohabbat ko bhī thā afsāna na ban jaanā
ye aalam beḳhūdī-e-ishq kā ai 'shauq' kyā kahiye
tasavvur meñ kisī ke aap se begāna ban jaanā
Top Urdushayar.com