Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

wo ho ilaj-e-dard mudawa kahen jise

Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq

Indore, Madhya Pradesh, India

1863

vo ho ilāj-e-dard mudāvā kaheñ jise

aisā to ho koī ki masīhā kaheñ jise

pursān-e-hāl koī nahīñ jis naam leñ

ik dard dil hai ki shanāsā kaheñ jise

mushkil ye hai ki aap to sunte kuchh nahīñ

rūdād-e-ishq vo ki fasāna kaheñ jise

jalve se dekhiye kahīñ āñkheñ jhapak na jaa.eñ

yuuñ chashm ho zauq-e-tamāshā kaheñ jise

allāh aisī de tujhe taufīq ai junūñ

sar meñ vo dhun samā.e ki saudā kaheñ jise

sab hasratoñ ko ḳhaak meñ zālim milā diyā

ab dil meñ kyā rahā ki tamannā kaheñ jise

ye bār-e-zindagī kahīñ halkā na 'shauq' ho

itnā to ho ki hāsil-e-duniyā kaheñ jise

Top Urdushayar.com