kar  ke  qaul-o-qarār  kyā  kahnā
o  farāmosh-kār  kyā  kahnā
ho  ke  nādim  gunah  se  paak  huā
vaah  re  sharmsār  kyā  kahnā
kaam  bigḌe  tū  hī  banātā  hai
ai  mire  kirdgār  kyā  kahnā
ḳhuub  tū  ne  sunī  lagī  dil  kī
vaah  re  ġham-gusār  kyā  kahnā
din  ko  taare  dikhā  diye  tū  ne
ai  shab-e-intizār  kyā  kahnā
ḳhaak  meñ  bhī  milā  ke  ai  zālim
na  kiyā  e.atibār  kyā  kahnā
dil-e-hasrat-zada  rahā  na  rahā
us  kā  qaul-o-qarār  kyā  kahnā
us  se  hāl-e-ġham-e-dil-e-mazlūm
jo  na  ho  sharmsār  kyā  kahnā
bā-vafā.ī  bhī  terī  ai  dil-e-zār
rah  ga.ī  yādgār  kyā  kahnā
na  sune  ek  baar  jo  dil  kī
us  se  phir  baar  baar  kyā  kahnā
ḳhum  ke  ḳhum  'shauq'  kar  diye  ḳhālī
ai  mire  bāda-ḳhvār  kyā  kahnā