Wazir Ali Saba Lakhnavi

mahshar ka hamein kya gham isyan kise kahte hain

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885

mahshar hameñ kyā ġham isyāñ kise kahte haiñ

palle pe vo but hogā mīzāñ kise kahte haiñ

ushshāq phire dar-dar aivāñ kise kahte haiñ

sar baar rahā tan par sāmāñ kise kahte haiñ

vasl-e-but-e-mahrū hai sharb-e-mai-e-gulgūñ hai

phir aur ināyāt-e-yazdāñ kise kahte haiñ

qaidī rahe vahshat meñ be-ḳhud the magar aise

ye bhī na khulā ham par zindāñ kise kahte haiñ

insān bas nafs-e-ammāra muḳharrab hai

lā-haul valā quvvat shaitāñ kise kahte haiñ

mahtāb tire aage niklā to nujūmī ko

sābit na huā māh-e-tābāñ kise kahte haiñ

bīmār-e-mohabbat haiñ mar jaa.eñ to achchhā hai

qurbān atibbā ke darmāñ kise kahte haiñ

kyūñkar na hañseñ sun kar hāl-e-dil āshiq ko

kamsin haiñ vo kyā jāneñ armāñ kise kahte haiñ

ai vā.izo ye bāteñ achchhī nahīñ gunjalak

koī jo kabhī samjhe īmāñ kise kahte haiñ

dekheñ to ḳhizar tere āb-e-dam-e-ḳhanjar ko

ma.alūm nahīñ āb-e-haivāñ kise kahte haiñ

haañ dast-e-junūñ sau sau zanjīr TukḌe hoñ

sansī kise kahte haiñ sohāñ kise kahte haiñ

be-yār ye bādal haiñ dal shaam faujoñ ke

bauchhār hai tīroñ bārāñ kise kahte haiñ

ham aap ke ghar aa kar farmā.iye jā.eñge

achchhī rahī lo suniye mehmāñ kise kahte haiñ

jab dekhte haiñ gul ko kahte haiñ vo shoḳhī se

rotī huī sūrat hai ḳhandāñ kise kahte haiñ

be-ḳhud ḳhalish-e-ġham se hote haiñ to kahte haiñ

ai dil ye khaTak kyā hai mizhgāñ kise kahte haiñ

dīvār ko zindāñ pathrā ga.e dīvāne

jis dam ye ḳhayāl aayā maidāñ kise kahte haiñ

ā.īne ke saath apnī sūrat unheñ dikhlā.eñ

dekheñ to vo dono meñ hairāñ kise kahte haiñ

shohra hai 'sabā' ab to apnī bhī fasāhat

'ātish' ke muqallid haiñ sohbāñ kise kahte haiñ

Top Urdushayar.com