Jafar Tahir

har shai jahan ki gard-o-ghubar-e-KHayal hai

Jafar Tahir

Jhang, Punjab, Pakistan

1917-1977
har shai jahāñ kī gard-o-ġhubār-e-ḳhayāl hai
āshob-gāh-e-dahr meñ jiinā muhāl hai
ye gulshan-e-yaqīñ bhī ba-juz vahm kuchh nahīñ
aalam jise kaheñ vo tilism-e-ḳhayāl hai
naira.gī-e-nazar ke sivā aur kuchh nahīñ
dūd-e-firāq jalva-e-shām-e-visāl hai
ye naġhma-e-vajūd kisī rāgnī kī raakh
ik chīḳh sāz-e-umr-e-abad kā ma.aal hai
har mauj hai ki haath se chhuTtī huī inaañ
vo jast-o-ḳhez hai ki sambhalnā muhāl hai
tapte dinoñ kī aag meñ jiine kī aarzū
shabnam ba-rū-e-gul araq-e-infi.āl hai
tanhā.iyoñ meñ baiTh ke ḳhud ko shikār kar
ye dasht-e-dil bhī dasht-e-ḳhutan kī misāl hai
Top Urdushayar.com