Wazir Ali Saba Lakhnavi

banda ab na-subur hota hai

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885

banda ab nā-subūr hotā hai

afv hove qusūr hotā hai

vo zamīñ par qadam nahīñ rakhte

husn kyā ġhurūr hotā hai

daulat husn ke luTāne meñ

ḳharch kyā ai huzūr hotā hai

surma āñkhoñ meñ vo lagāte haiñ

dekhiye kyā futūr hotā hai

ham haiñ majbūr aap haiñ muḳhtār

kahiye kis se qusūr hotā hai

saaya us āftāb-tal.at

dīda-e-mah nuur hotā hai

ḳhaak hāsil hai us se murdoñ ko

zar jo sarf-e-qubūr hotā hai

mai-kashoñ meñ mudām ai zāhid

nāra-e-yā-ġhafūr hotā hai

vasl ho Tāliye na bose par

is se kyā ai huzūr hotā hai

fikr rakhte nahīñ haiñ dīvāne

bā.is-e-ġham shu.ūr hotā hai

partav-e-ruḳh se un jeb-e-qabā

dāman-e-koh-e-tūr hotā hai

ḳhuub āshiq paas karte ho

har ghaḌī duur duur hotā hai

ek nuur zamāne meñ

sau tarah se zuhūr hotā hai

mujh ko nāhaq halāl karte hai

ḳhuun ye be-qusūr hotā hai

kashtī-e-mai chalī to ai saaqī

bahr-e-ġham se ubuur hotā hai

ai 'sabā' jab bahār aatī hai

ham ko saudā zarūr hotā hai

Top Urdushayar.com