Qaisar Siddiqi

ye kaise jaanta gar shahr mein aaya nahin hota

Qaisar Siddiqi

Navada Kalan, Bihar, India

1937-2018
ye kaise jāntā gar shahr meñ aayā nahīñ hotā
yahāñ dīvār hotī hai magar saaya nahīñ hotā
risālat kī binā gar jhuuT par rakkhī ga.ī hotī
rasūloñ ko bhī to duniyā ne jhuThlāyā nahīñ hotā
ye ḳhvāb-e-sub.h kyā karte tamannā kī hinā-bandī
agar tārīḳh ne apne ko dohrāyā nahīñ hotā
jo amrit chhoḌ kar ham log bhī vish-pān kar lete
to apne ḳhuun meñ ye saañp lahrāyā nahīñ hotā
maiñ apne qatl kā us par kabhī shak bhī nahīñ kartā
agar vo muskurāte vaqt sharmāyā nahīñ hotā
agar kuchh kaam aatī istilāh-e-sāġhar-o-mīnā
to merī tishnagī ne mujh ko bahkāyā nahīñ hotā
janāb-e-'mīr' rote haiñ to 'qaisar' shauq se ro.eñ
hamāre ahd meñ ab koī ham-sāya nahīñ hotā
Top Urdushayar.com