Wazir Ali Saba Lakhnavi

jo adu-e-bagh ho barbaad ho

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885
jo adū-e-bāġh ho barbād ho
koī ho gulchīñ ho yā sayyād ho
mujh sā āshiq morid-e-bedād ho
tum baḌe saffāk ho jallād ho
kūcha-e-jānāñ se matlab hai hameñ
dair vīrāñ ho haram barbād ho
qaid-e-maz.hab vāqa.ī ik rog hai
aadmī ko chāhiye āzād ho
daur daur-e-mohtasib hai sāqiyā
haa.e kyūñkar mai-kada ābād ho
bik ga.e haiñ aap to ġhairoñ ke haath
banda-parvar ab ġhulām āzād ho
ye tamīz allāh de sayyād ko
baaġh vīrāñ ho qafas ābād ho
sarv-qaddoñ se agar paalā paḌe
ḳhuub sīdhā baaġh meñ shamshād ho
aa.ina dil kā jo dikhlā.ūñ unheñ
jā-e-hairat ho ajab rūdād ho
tum vo ho mar jaa.eñ to bhī ġham na ho
aish ho ishrat ho ḳhush ho shaad ho
gumbad-e-gardūñ par ai dil aah se
kuchh na kuchh aafat paḌe uftād ho
maut hañstī hai ḳhizar ke haal par
tā-kujā hastī-e-be-buniyād ho
mausam-e-gul ho junūñ kā josh ho
jā-ba-jā haddād ho fassād ho
kaan rakh kar vo mire naale sune
zulf dūd-e-shola-e-fariyād ho
maiñ vo bulbul huuñ jise dono haiñ ek
baaġh ho yā ḳhāna-e-sayyād ho
nazr sar kartā huuñ maiñ ai shāh-e-husn
hukm ho jallād ko irshād ho
rañg laayā hai laḌakpan aap kā
nau-bahār-e-gulshan-e-ījād ho
kyā qayāmat hai burā ho maut kā
ham na hoñ ye ālam-e-ījād ho
bār-e-ilāhā yuuñ uTheñ mahshar ko ham
haath ho aur dāman jallād ho
zāhir-o-bātin meñ ai dil farq ho
but baġhal meñ ho ḳhudā kī yaad ho
un raqīboñ ko ḳhudā ġhārat kare
aap hoñ ye āshiq-e-nāshād ho
aap ko apnī ḳhushī se kaam hai
koī nā-ḳhush ho koī nāshād ho
aah āñdhī hai miTāne ke liye
naqsh-e-hastī chāhiye barbād ho
jaa.e gulshan meñ jo tū ai naunihāl
kyā tavārud misra-e-shamshād ho
ḳhuub hai us gul ko laa.e raah par
ai 'sabā' tum bhī baḌe ustād ho
Top Urdushayar.com