jo  adū-e-bāġh  ho  barbād  ho
koī  ho  gulchīñ  ho  yā  sayyād  ho
mujh  sā  āshiq  morid-e-bedād  ho
tum  baḌe  saffāk  ho  jallād  ho
kūcha-e-jānāñ  se  matlab  hai  hameñ
dair  vīrāñ  ho  haram  barbād  ho
qaid-e-maz.hab  vāqa.ī  ik  rog  hai
aadmī  ko  chāhiye  āzād  ho
daur  daur-e-mohtasib  hai  sāqiyā
haa.e  kyūñkar  mai-kada  ābād  ho
bik  ga.e  haiñ  aap  to  ġhairoñ  ke  haath
banda-parvar  ab  ġhulām  āzād  ho
ye  tamīz  allāh  de  sayyād  ko
baaġh  vīrāñ  ho  qafas  ābād  ho
sarv-qaddoñ  se  agar  paalā  paḌe
ḳhuub  sīdhā  baaġh  meñ  shamshād  ho
aa.ina  dil  kā  jo  dikhlā.ūñ  unheñ
jā-e-hairat  ho  ajab  rūdād  ho
tum  vo  ho  mar  jaa.eñ  to  bhī  ġham  na  ho
aish  ho  ishrat  ho  ḳhush  ho  shaad  ho
gumbad-e-gardūñ  par  ai  dil  aah  se
kuchh  na  kuchh  aafat  paḌe  uftād  ho
maut  hañstī  hai  ḳhizar  ke  haal  par
tā-kujā  hastī-e-be-buniyād  ho
mausam-e-gul  ho  junūñ  kā  josh  ho
jā-ba-jā  haddād  ho  fassād  ho
kaan  rakh  kar  vo  mire  naale  sune
zulf  dūd-e-shola-e-fariyād  ho
maiñ  vo  bulbul  huuñ  jise  dono  haiñ  ek
baaġh  ho  yā  ḳhāna-e-sayyād  ho
nazr  sar  kartā  huuñ  maiñ  ai  shāh-e-husn
hukm  ho  jallād  ko  irshād  ho
rañg  laayā  hai  laḌakpan  aap  kā
nau-bahār-e-gulshan-e-ījād  ho
kyā  qayāmat  hai  burā  ho  maut  kā
ham  na  hoñ  ye  ālam-e-ījād  ho
bār-e-ilāhā  yuuñ  uTheñ  mahshar  ko  ham
haath  ho  aur  dāman  jallād  ho
zāhir-o-bātin  meñ  ai  dil  farq  ho
but  baġhal  meñ  ho  ḳhudā  kī  yaad  ho
un  raqīboñ  ko  ḳhudā  ġhārat  kare
aap  hoñ  ye  āshiq-e-nāshād  ho
aap  ko  apnī  ḳhushī  se  kaam  hai
koī  nā-ḳhush  ho  koī  nāshād  ho
aah  āñdhī  hai  miTāne  ke  liye
naqsh-e-hastī  chāhiye  barbād  ho
jaa.e  gulshan  meñ  jo  tū  ai  naunihāl
kyā  tavārud  misra-e-shamshād  ho
ḳhuub  hai  us  gul  ko  laa.e  raah  par
ai  'sabā'  tum  bhī  baḌe  ustād  ho