qabr  par  bād-e-fanā  ā.iyegā
be-mahal  paañv  na  phailā.iyegā
laakh  ho  vasl  kā  va.ada  lekin
vaqt  par  saaf  nikal  jā.iyegā
jaa.eñ  dam  bhar  ko  to  farmāte  haiñ
chhāvnī  to  na  kahīñ  chhā.iyegā
sar  hue  is  ke  mulamma.a  se  na  aap
zulf-e-mushkīñ  se  ḳhatā  pā.iyegā
na  kareñ  aap  vafā  ham  ko  kyā
bevafā  aap  hī  kahlā.iyegā
uTh  gayā  dil  se  duī  kā  pardā
chhup  ke  ab  aap  kahāñ  jā.iyegā
kahkashāñ  saaf  banegā  rasta
aap  tausan  ko  jo  chamkā.iyegā
rañg  lā.egī  nazākat  baḌh  kar
phuul  ke  baar  se  pattā.iyegā
kyā  kareñ  vasf-e-dahan  Darte  haiñ
muñh  meñ  jo  aa.egā  farmā.iyegā
zulf  ko  haath  lagā.eñge  jo  ham
beḌiyāñ  paaoñ  meñ  pahnā.iyegā
dekheñ  raġhbat  se  to  kahtā  hai  vo  shoḳh
koī  halvā  hai  ki  khā  jā.iyegā
kyā  kiyā  ishq  ne  kyuuñ  hazrat-e-dil
ham  na  kahte  the  ki  pachhtā.iyegā
aap  chalte  to  haiñ  aTkheliyoñ  se
koī  aafat  na  kahīñ  lā.iyegā
ai  'sabā'  ishq-e-parī-rūyāñ  meñ
ādamiyyat  se  guzar  jā.iyegā