Mohammad Hazim Hassan

afsurdagi aazurdagi pazhmurdagi be-kar hai

Mohammad Hazim Hassan

Kishanganj, Bihar, India

1959
afsurdagī āzurdagī pazhmurdagī be-kār hai
us pe hai jis kā tavakkul ḳhush hai beḌā paar hai
hausla ho azm ho mehnat ho aur ummīd-vār
aur kuchh us ke sivā kyā ziist meñ darkār hai
jis ne samjhā zindagī ko jañg hai vo kāmyāb
qābil-e-tahsīñ hai vo jo bar-sar-e-paikār hai
la.anteñ aur zillateñ rusvā.iyāñ nākāmiyāñ
us kī qismat meñ hai jo ki ziist se bezār hai
jis kī ḳhushiyoñ kā sadā 'hassān' ne rakkhā ḳhayāl
aaj merī jaan ke vo darpai āzār hai
Top Urdushayar.com