Mohammad Hazim Hassan

hum ek hain hum ek hain hum ek rahenge

Mohammad Hazim Hassan

Kishanganj, Bihar, India

1959
ham ek haiñ ham ek haiñ ham ek raheñge
ham de ke ḳhushī auroñ ko dukh un kā saheñge
ham phuul haiñ ḳhushbū hī sadā deñge jahāñ ko
hargiz na kabhī kāñTā kahīñ ban ke chubheñge
ham narm-kalāmī ke mohabbat ke haiñ ḳhūgar
aḳhlāq har ik haal meñ behtar hī raheñge
muskān hameñ denī hai dushman ke laboñ par
āñkhoñ se kisī kī na yahāñ ashk baheñge
haañ aql-o-ḳhirad se jinheñ nisbat nahīñ hogī
ḳhud-karda gunāhoñ se balāoñ meñ phaseñge
vo tum ko mile dair-o-haram meñ nahīñ mumkin
'hassān' use DhūñD diloñ meñ ye kaheñge
Top Urdushayar.com