vaa.iz  ke  maiñ  zarūr  Darāne  se  Dar  gayā
jām-e-sharāb  laa.e  bhī  saaqī  kidhar  gayā
bulbul  kahāñ  bahār  kahāñ  bāġhbāñ  kahāñ
vo  din  guzar  ga.e  vo  zamāna  guzar  gayā
aisī  havā  chalī  mirī  aahoñ  kī  raat  ko
sab  āsmāñ  pe  ḳhirman-e-anjum  bikhar  gayā
achchhā  huā  jo  ho  ga.e  vahdat-parast  ham
fitna  gayā  fasād  gayā  shor-o-shar  gayā
ka.abe  kī  samt  sajda  kiyā  dil  ko  chhoḌ  kar
tū  kis  taraf  thā  dhyān  hamārā  kidhar  gayā
phir  sair-e-lāla-zār  ko  ham  ai  'sabā'  chale
aa.ī  bahār  dāġh-e-junūñ  phir  ubhar  gayā