aayā  jo  mausam-e-gul  to  ye  hisāb  hogā
ham  hoñge  yaar  hogā  jām-e-sharāb  hogā
nāloñ  se  apnī  ik  din  vo  inqalāb  hogā
dam  bhar  meñ  āsmāñ  kā  aalam  ḳharāb  hogā
dikhlā.eñge  tujhe  ham  dāġh-e-jigar  kā  aalam
muñh  is  taraf  kabhī  to  ai  āftāb  hogā
ai  zāhid-e-riyā.ī  dekhī  namāz  terī
niyyat  agar  yahī  hai  to  kyā  savāb  hogā
vo  radd-e-ḳhalq  huuñ  maiñ  gar  Duub  kar  marūñgā
murda  mirā  vabāl-e-dosh-e-habāb  hogā
vo  mast  haiñ  idhar  to  rakhte  nahīñ  haiñ  sāġhar
maġhrib  se  haañ  numāyāñ  jab  āftāb  hogā
ai  zūd-ranj  tujh  par  jo  log  jaan  deñge
rah  rah  ke  turbatoñ  meñ  un  par  azaab  hogā
ḳhūn-e-siyā.ush  ik  din  dikhlā.egā  ḳharābī
is  zulm  kā  evaz  ai  afrāsiyāb  hogā
tū  naqd-e-dil  ko  le  kar  mukrā  tū  hī  Thahar  jā
roz-e-hisāb  mere  tere  hisāb  hogā
allāh  re  un  kā  ġhussa  itnā  nahīñ  samajhte
kyūñkar  koī  jiyegā  jab  yuuñ  itaab  hogā
dāġh-e-jigar  ko  le  kar  jā.eñge  ham  jo  ai  dil
jannat  meñ  hūriyoñ  ko  rahnā  azaab  hogā
kyā  sair  hogī  vo  mah  laayā  agar  harārā
chehra  jo  tamtamāyā  to  āftāb  hogā
vo  riñd  huuñ  maiñ  zāhid  aane  de  hashr  kā  din
us  roz  bhī  ye  banda  mast-e-sharāb  hogā
barsāt  hai  bahāreñ  sāqī-e-barq-vash  ko
chhāyā  huā  chaman  par  kaisā  sahāb  hogā
ai  mehr-vash  to  kyūñkar  parde  meñ  chhup  sakegā
abr-e-tunak  kī  sūrat  muñh  par  naqāb  hogā
ai  charḳh-e-pīr  ab  to  ye  haal  hai  sitam  kā
kyā  hogā  jin  dinoñ  meñ  terā  shabāb  hogā
ai  muġhbachoñ  tumhārā  bāyāñ  qadam  maiñ  luñgā
zāhid  kā  gar  amāma  rehn-e-sharāb  hogā
dho.egā  apne  talve  vo  but  jo  sañg-pāsī
shīrīñ  kā  be-sutūñ  par  naqsha  ḳharāb  hogā
zulfoñ  kā  ishq  kyūñkar  un  se  bayāñ  karūñgā
hāl-e-dil-e-pareshāñ  gūñge  kā  ḳhvāb  hogā
sar-kushtagī  meñ  merā  kyā  saath  de  sakegā
ai  āsmāñ  Thahar  jā  nā-haq  ḳharāb  hogā
furqat  meñ  zabt-e-nāla  ham  se  na  ho  sakegā
qaabū  meñ  dil  na  hogā  jab  iztirāb  hogā
likkhe  kī  kyā  ḳhabar  thī  ye  kaun  jāntā  thā
laila  ke  saath  paḌh  kar  majnūñ  ḳharāb  hogā
īmān  tum  'sabā'  kā  us  vaqt  dekh  lenā
āñkhoñ  meñ  dam  laboñ  par  yā  bū-turāb  hogā