Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

kabhi bahaar na aai bahaar ki surat

Syed Nazeer Hasan Sakha Dehlavi

Delhi, India

-1933

kabhī bahār na aa.ī bahār sūrat

badal ga.ī chaman-e-rozgār sūrat

havā-e-lutf-o-karam ke faqat sahāre par

paḌe haiñ raah meñ gard-o-ġhubār sūrat

vafā shakl na dekhī tumhāre va.adoñ par

yahī zamāne meñ hai e.atibār sūrat

pas-e-fanā mirī qismat khulī vo rote haiñ

ḳhud apne ghar meñ banā kar mazār sūrat

bagūla dekh ke shukr-e-ḳhudā vo kahte haiñ

nazar meñ phir ga.ī ik ḳhāksār sūrat

jidhar zamāna phirā maiñ bhī saath saath phirā

jo rañg dekhā vahī iḳhtiyār sūrat

har ek baat pe chubhtī huī jo kahtā huuñ

tumhāre dil meñ khaTaktā huuñ ḳhaar sūrat

kisī bhes bhareñge 'saḳhā' haiñ chalte hue

hazār ruup se dekheñge yaar sūrat

Top Urdushayar.com