gahrī  hai  shab  kī  aañch  ki  zanjīr-e-dar  kaTe
tārīkiyāñ  baḌhe  to  sahar  kā  safar  kaTe
kitnī  shadīd  hai  ye  ḳhunuk  surḳhiyoñ  kī  shaam
sulgā  hai  vo  sukūt  ki  tār-e-nazar  kaTe
saugand  hai  ki  tark-e-talab  kī  sazā  mile
ruk  jaa.e  gar  qadam  kī  masāfat  to  sar  kaTe
kyuuñ  kusht-e-e'tibār  bhī  sarsar  kī  zad  meñ  ho
kyā  intizār-e-ḳhulq  se  fasl-e-hunar  kaTe
yuuñ  bhī  to  ho  ki  sar  ke  sabab  ho  shikast-e-sañg
ye  bhī  to  ho  kabhī  ki  shajar  se  tabar  kaTe
khil  jaa.eñ  raushnī  pe  mire  pattharoñ  ke  rañg
us  raat  sī  pahāḌ  kā  siina  magar  kaTe
sadiyoñ  safar  hai  'shād'  mujhe  ḳhud  mirā  vajūd
dil  se  ġhubār  raah  chhuTe  rahguzar  kaTe