yak  lamha  sahī  umr  kā  armān  hī  rah  jaa.e
is  ḳhalvat-e-yaḳh  meñ  koī  mehmān  hī  rah  jaa.e
qurbat  meñ  shab-e-garm  kā  mausam  hai  tirā  jism
ye  ḳhitta-e-jāñ  vaqf-e-zamistān  hī  rah  jaa.e
mujh  shāḳh-e-barahana  pe  sajā  barf  kī  kaliyāñ
patjhaḌ  pe  tire  husn  kā  ehsān  hī  rah  jaa.e
farfāg  ke  āshob  meñ  jam  jaatī  haiñ  socheñ
is  karb-e-qayāmat  meñ  tirā  dhyān  hī  rah  jaa.e
tujh  bin  to  sunā.ī  na  de  sūraj  kī  sadā  bhī
dil  dasht-e-havā-basta  hai  sunsān  hī  rah  jaa.e
marmar  kī  siloñ  meñ  to  ghuTe  aage  kā  dam  bhī
ye  qarya-e-jānāñ  hai  yahāñ  jaan  hī  rah  jaa.e
sochūñ  to  shuāoñ  se  tarāshūñ  tirā  paikar
chhū  luuñ  to  vahī  barf  kā  insān  hī  rah  jaa.e
ye  shaam  ye  chāñdī  kā  barastā  huā  jharnā
koī  tirī  zulfoñ  meñ  pareshān  hī  rah  jaa.e
sūrat  se  vo  'gul-barf'  sahī  phir  bhī  'atā-shād'
tāsīr  meñ  vo  mushk  kī  pahchān  hī  rah  jaa.e