chob-e-sahrā  bhī  vahāñ  rashk-e-samar  kahlā.e
ham  ḳhizāñ-baḳht  shajar  ho  ke  hajar  kahlā.e
ham  tah-e-ḳhāk  kiye  jaañ  kā  araq  un  ke  liye
aur  pas-e-rāh-e-vafā  gard-e-safar  kahlā.e
un  kī  poroñ  meñ  sitāre  bhī  haiñ  añgāre  bhī
vo  sadaf  jism  hue  ātish-e-tar  kahlā.e
apnī  rāhoñ  kā  gulistān  lage  vīrāna
un  kī  dahlīz  kī  miTTī  bhī  guhar  kahlā.e
jin  kī  ḳhairāt  se  lamhoñ  kī  laveñ  jāgtī  haiñ
shab-nizhādoñ  meñ  vahī  dast-e-nigar  kahlā.e
un  ke  katbe  pe  yahī  vaqt  ne  likkhā  hai  ki  vo
raushnī  bāñTte  the  tiira  nazar  kahlā.e
vo  to  dīvāroñ  meñ  chuntā  hai  zamāne  kā  zamīr
ham  hī  kyā  sañg-e-sar-e-rāhguzar  kahlā.e
'shād'  be-sarfa  gayā  umr  kā  sarmāya-e-harf
ham  ki  the  jān-e-sadā  guñg-e-hunar  kahlā.e