zindagī  ā.īna  hai  ā.īna-ārā.ī  hai
ajnabī  bhī  hai  vahī  jis  se  shanāsā.ī  hai
sañg-dil  sāmne  aatā  hai  to  ye  sochtā  huuñ
aarzū  husn  kī  dīvār  se  Takrā.ī  hai
aaj  kī  raat  bhī  kartā  hai  koī  kufr  kī  baat
chāñd  ke  phuul  meñ  shabnam  kī  sharāb  aa.ī  hai
kis  ko  is  daur  meñ  hai  fursat-e-ishq-e-ḳhūbāñ
aag  tere  lab  o  ruḳhsār  ne  barsā.ī  hai
tū  nahīñ  hai  to  har  ik  jur.a-e-mahtāb-sifat
yaad  kī  aañkh  se  Tapkī  huī  tanhā.ī  hai
dil  vo  sahrā  hai  jahāñ  hasrat-e-sāya  bhī  nahīñ
dil  vo  duniyā  hai  jahāñ  rañg  hai  ra.anā.ī  hai