diloñ  ke  dard  jagā  ḳhvāhishoñ  ke  ḳhvāb  sajā
balā-kashān-e-nazar  ke  liye  sarāb  sajā
mahak  rahā  hai  kisī  kā  badan  sar-e-mahtāb
mire  ḳhayāl  kī  Tahnī  pe  kyā  gulāb  sajā
koī  kahīñ  to  sune  tere  arz-e-hāl  kā  habs
havā  kī  rehl  pe  āvāz  kī  kitāb  sajā
vo  kyā  talab  thī  tire  jism  ke  ujāle  kī
maiñ  bujh  gayā  to  mirā  ḳhāna-e-ḳharāb  sajā
tamām  shab  thā  tirā  hijr  terā  ā.īna-gar
tamām  shab  mire  pahlū  meñ  āftāb  sajā
na  tū  hai  aur  na  maiñ  huuñ  na  vasl  hai  na  firāq
sajā  sharāb  sajā  jā-ba-jā  sharāb  sajā
'atā'  ye  aañkh  dhanak  manziloñ  kī  chaah  meñ  thī
chhaTā  jo  abr  ghanī  tīrgī  kā  baab  sajā