baḌā  kaThin  hai  rāsta  jo  aa  sako  to  saath  do
ye  zindagī  kā  fāsla  miTā  sako  to  saath  do
baḌe  fareb  khāoge  baḌe  sitam  uThāoge
ye  umr-bhar  kā  saath  hai  nibhā  sako  to  saath  do
jo  tum  kaho  ye  dil  to  kyā  maiñ  jaan  bhī  fidā  karūñ
jo  maiñ  kahūñ  bas  ik  nazar  luTā  sako  to  saath  do
maiñ  ik  ġharīb-e-be-navā  maiñ  ik  faqīr-e-be-sadā
mirī  nazar  kī  iltijā  jo  pā  sako  to  saath  do
hazār  imtihān  yahāñ  hazār  āzmā.isheñ
hazār  dukh  hazār  ġham  uThā  sako  to  saath  do
ye  zindagī  yahāñ  ḳhushī  ġhamoñ  kā  saath  saath  hai
rulā  sako  to  saath  do  hañsā  sako  to  saath  do