pārsāoñ  ne  baḌe  zarf  kā  iz.hār  kiyā
ham  se  pī  aur  hameñ  rusvā  sar-e-bāzār  kiyā
dard  kī  dhuup  meñ  sahrā  kī  tarah  saath  rahe
shaam  aa.ī  to  lipaT  kar  hameñ  dīvār  kiyā
raat  phūloñ  kī  numā.ish  meñ  vo  ḳhush-jism  se  log
aap  to  ḳhvāb  hue  aur  hameñ  bedār  kiyā
kuchh  vo  āñkhoñ  ko  lage  sañg  pe  sabze  kī  tarah
kuchh  sarāboñ  ne  hameñ  tishna-e-dīdār  kiyā
tum  to  resham  the  chaTānoñ  kī  nigah-dārī  meñ
kis  havā  ne  tumheñ  pā-basta-e-yalġhār  kiyā
ham  bure  kyā  the  ki  ik  sidq  ko  samjhe  the  sipar
vo  bhī  achchhe  the  ki  bas  yaar  kahā  vaar  kiyā
sañgsārī  meñ  to  vo  haath  bhī  uTThā  thā  'atā'
jis  ne  ma.asūm  kahā  jis  ne  gunahgār  kiyā