maiñ  zaḳhm  zaḳhm  rahūñ  ruuh  ke  ḳharāboñ  se
tū  jism  jism  dahaktā  rahe  gulāboñ  se
kisī  kī  chaal  ne  nashshe  kā  ras  kashīd  kiyā
kisī  kā  jism  tarāshā  gayā  sharāboñ  se
sabā  kā  haath  hai  aur  hai  tire  gudāz  kā  lams
maiñ  jāgtā  hī  rahūñ  garm  garm  ḳhvāboñ  se
qadam  qadam  hai  chakā-chauñd  chāhatoñ  kā  charāġh
maiñ  shahr-e-ā.ina  jaltā  huuñ  āftāboñ  se
'atā'  badan  kī  ye  karvaT  bhī  nīm-shab  kyā  thī
tamām  umr  ujaltā  huuñ  inqilāboñ  se