Abdul Malik Soz

waqt ab sar pe wo aaya hai ki sar yaad nahin

Abdul Malik Soz

vaqt ab sar pe vo aayā hai ki sar yaad nahīñ

tere dīvānoñ ko bhī ab tirā dar yaad nahīñ

haa.e vo shab jo tire va.ada-e-shab meñ guzrī

haa.e vo shab hai ki jis shab sahar yaad nahīñ

zindagī kaise kaTī dāvar-e-mahshar ye na pūchh

vo safar yaad to hai raḳht-e-safar yaad nahīñ

mere a.amāl pe jaa.e to ye samjhūñgā tujhe

yaad hai dāman-e-tar dīda-e-tar yaad nahīñ

pyaar se ab bhī vo takte haiñ mujhe par un ko

jis ne dil luuT liyā thā vo nazar yaad nahīñ

umr-bhar thaam ke us shoḳh dāman ro.e

'soz' kyā us pe huā us asar yaad nahīñ

Top Urdushayar.com