Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi

fitna-za fikr har ek dil se nikal achchha hai

Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi

Chinhat, Uttar pradesh, India

1927-1994
fitna-zā fikr har ik dil se nikāl achchhā hai
aa.e gar husn-e-ḳhayāl us ko sambhāl achchhā hai
mere ehsās-e-ḳhudī par na koī zad aa.e
tū jo de de mujhe be-harf savāl achchhā hai
aap māneñ na burā gar to kahūñ ai nāseh
sāhab-e-qāl se to sāhib-e-hāl achchhā hai
be-ḳhayālī na rahe ḳhām-ḳhayālī se bacho
dil meñ bas jaa.e jo un kā hī ḳhayāl achchhā hai
tere ruḳh par ho masarrat to mirā dil masrūr
tere chehre pe na ho gard-e-malāl achchhā hai
pursish-e-ġham bhī nahīñ niiz mulāqāt nahīñ
aap ko ham se ġharīboñ kā ḳhayāl achchhā hai
koī kahtā hai mubārak ho tujhe daur-e-firāq
maiñ samajhtā huuñ magar roz-e-visāl achchhā hai
mulk-gīrī kī havas meñ ho to fitna ḳhud hī
aur fitna ko miTā.e to qitāl achchhā hai
be-niyāz-e-ġham-e-uqbā jo 'nazar' tujh ko kare
āl-o-aulād vo achchhī na vo maal achchhā hai
Top Urdushayar.com