Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi

manzil mile be-hausla-e-jaan nahin dekha

Mohammad Abdul Hameed Siddiqi Nazar Lakhnawi

Chinhat, Uttar pradesh, India

1927-1994
manzil mile be-hausla-e-jāñ nahīñ dekhā
hote hue aisā to kabhī haañ nahīñ dekhā
ġhair aa.e ga.e phuul chune bū bhī uḌaa.ī
ham aise ki apnā hī gulistāñ nahīñ dekhā
dāman bhī salāmat hai garebāñ bhī salāmat
ai josh-e-junūñ tujh ko numāyāñ nahīñ dekhā
haiñ tere tasallut meñ fazā.eñ bhī zamīñ bhī
tujh meñ hī magar zauq-e-sulaimāñ nahīñ dekhā
hai chashm-e-tasavvur bhī ye darmāndā-o-ājiz
tujh ko kabhī ai jalva-e-pinhāñ nahīñ dekhā
ehsās-e-ziyāñ vaa.e ki hai rū-ba-tanazzul
kal thā jo use aaj pashemāñ nahīñ dekhā
kitne hī suḳhan-var-o-suḳhan-dāñ 'nazar' aise
jin ko kabhī mahfil meñ ġhazal-ḳhvāñ nahīñ dekhā
Top Urdushayar.com