Wazir Ali Saba Lakhnavi

ai sanam sab hain tere hathon se nalan aaj-kal

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885

ai sanam sab haiñ tire hāthoñ se nālāñ āj-kal

sūrat-e-nāqūs haiñ gabr-o-musalmāñ āj-kal

baaġh meñ kahte haiñ vo laale taḳhta dekh kar

gul khilātī hai ajab ḳhāk-e-shahīdāñ āj-kal

harf-e-matlab apne dīvāne bhī sun zarā

ho tujhe chhuTTī jo ai tifl-e-dabistāñ āj-kal

mausam-e-josh-e-junūñ hai jāma-e-gul tarah

ḳhud-ba-ḳhud hote haiñ TukḌe jeb-o-dastāñ āj-kal

peshtar ḳhat se mazā thā husn ai naunihāl

ho gayā dāġhī tirā seb-e-zanaḳhdāñ āj-kal

yaad karte haiñ kisī ke mus.haf-e-ruḳhsār ko

tāq-e-nisyāñ par rakhā hai ham ne qur.āñ āj-kal

zulfeñ chhoḌī haiñ jo us sayyād-e-gul-ruḳhsār ne

daam meñ phañste haiñ murġhān-e-ġhulistāñ āj-kal

haa.e vo ḳhush-qad pa.e-gul-gasht ab aatā nahīñ

naḳhl-e-mātam hai har ik sarv-e-gulistāñ āj-kal

zo.af ke hāthoñ hue fasl-e-junūñ meñ tañg ham

ho gayā phāñsī hameñ apnā garebāñ āj-kal

in dinoñ meñ zuur hotā hai hameñ josh-e-junūñ

bhāgtā hai chhoḌ kar majnūñ bayābāñ āj-kal

jo hasīñ hai gard hai is bādshāh-e-husn

rahtā hai pariyoñ jhūmar meñ sulaimāñ āj-kal

aiñDate haiñ kaj-adā.ī karte haiñ ushshāq se

bal lete haiñ bahut gesū-e-jānāñ āj-kal

gulshan-e-ālam mirī nazroñ meñ bāġh-e-sabz hai

dekhtā huuñ sabza-e-gor-e-ġharebāñ āj-kal

sāmnā har roz hai us but-e-saffāk se

ai 'sabā' allāh hai apnā nigahbāñ āj-kal

Top Urdushayar.com