Wazir Ali Saba Lakhnavi

aai ai gul-ezar kya kahna

Wazir Ali Saba Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1795-1885
aa.ī ai gul-ezār kyā kahnā
ḳhuub aa.ī bahār kyā kahnā
mehñdī mal kar hai choT marjāñ par
haath lāla-nigār kyā kahnā
mujh se āshiq ke aur yuuñ nafrīñ
vaah shābāsh yaar kyā kahnā
barq bhī darkinār rah jaa.e
haañ dil-e-be-qarār kyā kahnā
laakh baar imtihān-e-ishq kiyā
na kahā ek baar kyā kahnā
bahs-e-girya meñ abr bol gayā
dīda-e-ashk-bār kyā kahnā
maiñ to rotā huuñ aap hañste haiñ
yahī hotā hai yaar kyā kahnā
saḳhtī-e-ishq jhel le ai dil
vaah re burdbār kyā kahnā
mar ga.e ham magar na rahm aayā
vahī tevar haiñ yaar kyā kahnā
ḳhaar ḳhār-e-ġham-e-dil-e-pur-dard
chīḳh kar ai hazār kyā kahnā
kah to lalkār leñ raqīboñ ko
baat rakh lī nigār kyā kahnā
josh-e-ulfat meñ aur zabt ai dil
jabr par iḳhtiyār kyā kahnā
yuuñ to jo gul hai ḳhuub hai lekin
terā ai gul-ezār kyā kahnā
ai 'sabā' da.avā-e-anal-haq hai
ḳhuub soche ho yaar kyā kahnā
Top Urdushayar.com