Peer Akram

mere liye to ye saneha bhi naya nahin tha

Peer Akram

Amritsar, Punjab, India

1930
mire liye to ye sāneha bhī nayā nahīñ thā
masāfat-e-jāñ kā ham-safar bhī mirā nahīñ thā
laboñ pe pahuñche to nīm-jāñ the hurūf saare
samā.atoñ kā koī darīcha khulā nahīñ thā
na mil sakī us ko raushnī kī koī bashārat
ki tīrgī kā azaab us ne sahā nahīñ thā
nigāh-e-gulshan meñ jo khaTaktā thā ḳhaar ban ke
gale lagā kar use jo dekhā burā nahīñ thā
vo sāhab-e-iḳhtiyār-o-masnad vo merā munsif
vo hākim-e-mutlaq-ul-anān thā ḳhudā nahīñ thā
harīm-e-jāñ meñ mahak rahā hai vo harf-e-ḳhushbū
ki jo abhī shāḳhsār-e-lab par khilā nahīñ thā
Top Urdushayar.com