har  qadam  hādse  har  nafs  talḳhiyāñ
zindagī  barq  tūfāñ  ḳhizāñ  āñdhiyāñ
rafta  rafta  yahī  bojh  lagne  lagīñ
kyuuñ  baḌī  ho  ga.iiñ  maañ  tirī  beTiyāñ
merī  duniyā  tirī  zaat  meñ  qaid  hai
mujh  ko  ḳhairāt  meñ  de  na  āzādiyāñ
tīrgī  ḳhāmushī  bebasī  tishnagī
hijr  kī  raat  meñ  ḳhāmiyāñ  ḳhāmiyāñ
aap  hī  āñdhiy.oñ  se  ulajhte  rahe
maiñ  to  laa.ī  thī  dāman  meñ  purvā.iyāñ
maiñ  kitāboñ  meñ  rakhkhūñ  ye  fitrat  nahīñ
phuul  sūkhe  hue  be-zabāñ  titliyāñ
ye  sahīfa  nahīñ  merī  rūdād  hai
is  kā  unvān  hai  talḳhiyāñ  talḳhiyāñ
yaad  kyā  hai  koī  mujh  se  pūchhe  'hayā'
ek  ehsās  kī  chand  parchhā.iyāñ