maiñ  pī  rahī  huuñ  ki  zahrāb  haiñ  mire  aañsū
tirī  nazar  meñ  faqat  aab  haiñ  mire  aañsū
tū  āftāb  hai  merā  maiñ  tujh  se  huuñ  raushan
tire  huzūr  to  mahtāb  haiñ  mire  aañsū
vo  ġhāliban  unheñ  hāthoñ  meñ  thaam  bhī  letā
use  ḳhabar  na  thī  sailāb  haiñ  mire  aañsū
ḳhayāl  rakhte  haiñ  tanhā.iyoñ  kā  mahfil  kā
ye  kitne  vāqif-e-ādāb  haiñ  mire  aañsū
chhupā  ke  rakhtī  huuñ  har  ġham  ko  laakh  pardoñ  meñ
fasīl-e-zabt  se  nāyāb  haiñ  mire  aañsū
sahīfa  jaan  ke  āñkhoñ  ko  paḌh  rahā  hai  koī
ye  rasm-e-ijrā  ko  betāb  haiñ  mire  aañsū
maiñ  shā.erī  ke  huuñ  fann-e-arūz  se  vāqif
zabar  haiñ  zer  haiñ  eraab  haiñ  mire  aañsū
jise  paḌhā  nahīñ  tum  ne  kabhī  mohabbat  se
kitāb-e-zīst  kā  vo  baab  haiñ  mire  aañsū
'hayā'  ke  raaz  ko  āñkhoñ  meñ  DhūñDne  vaalo
shanāvaro  suno  girdāb  haiñ  mire  aañsū