maiñ  ġhazal  huuñ  mujhe  jab  aap  sunā  karte  haiñ
chand  lamhe  mirā  ġham  baañT  liyā  karte  haiñ
jab  vafā  karte  haiñ  ham  sirf  vafā  karte  haiñ
aur  jafā  karte  haiñ  jab  sirf  jafā  karte  haiñ
log  chāhat  kī  kitāboñ  meñ  chhupā  kar  chehre
sirf  jismoñ  kī  hī  tahrīr  paḌhā  karte  haiñ
log  nafrat  kī  fazāoñ  meñ  bhī  jī  lete  haiñ
ham  mohabbat  kī  havā  se  bhī  Darā  karte  haiñ
apne  bachchoñ  ke  liye  laakh  ġharībī  ho  magar
maañ  ke  pallū  meñ  ka.ī  sikke  milā  karte  haiñ
jo  kabhī  ḳhush  na  hue  dekh  ke  shohrat  merī
mere  apne  haiñ  mujhe  pyaar  kiyā  karte  haiñ
jin  ke  jazbāt  huuñ  nuqsān  naf.a  kī  zad  meñ
un  ke  dil  meñ  ka.ī  bāzār  sajā  karte  haiñ
fikr-o-ehsās  pe  parda  hai  'hayā'  kā  varna
ham  ġhalat  baat  na  sunte  na  kahā  karte  haiñ