maiñ  ne  vīrāne  ko  gulzār  banā  rakkhā  hai
kyā  burā  hai  jo  haqīqat  ko  chhupā  rakkhā  hai
daur-e-hāzir  meñ  koī  kaash  zamīñ  se  pūchhe
aaj  insān  kahāñ  tū  ne  chhupā  rakkhā  hai
vo  to  ḳhud-ġharzī  hai  lālach  hai  havas  hai  jin  kā
naam  is  daur  ke  insāñ  ne  vafā  rakkhā  hai
vo  mire  sahn  meñ  barsegā  kabhī  to  khul  kar
maiñ  ne  ḳhvāhish  kā  shajar  kab  se  lagā  rakkhā  hai
maiñ  to  mushtāq  huuñ  āñdhī  meñ  bhī  uḌne  ke  liye
maiñ  ne  ye  shauq  ajab  dil  ko  lagā  rakkhā  hai
maiñ  ki  aurat  huuñ  mirī  sharm  hai  merā  zevar
bas  taḳhallus  isī  baa.is  to  'hayā'  rakkhā  hai