Aurang zeb

kaun atha mein utre meri kis pe khule hangam mera

Aurang zeb

kaun athā meñ utre merī kis pe khule hañgām mirā

ashk se kaise bhāñp sakoge ḳhuun meñ hai kohrām mirā

koī to saa.at guzre jis meñ do tahzībeñ vasl kareñ

khīñch luuñ maiñ zunnār badan par bāñdh le ehrām mirā

bach ke kahāñ jāoge āḳhir tum itne chālāk nahīñ

dasht ke chappe chappe par to bichhā huā hai daam mirā

hare-bhare insān ko kaise hijr aag ne zard kiyā

ab bhī ishq karegā pyāre dekh to le anjām mirā

aayā huuñ bāzār meñ bikne maiñ ḳhud apnī marzī se

varna kis meñ dam hai itnā kaun lagā.e daam mirā

niiñd ye imdād hamesha ishq meñ pahuñchānā mujh ko

aañkh na ho tujh husn se ḳhālī ḳhvāb na ho nākām mirā

sab ne zabāñ pe vird sūrat mere sher sajā.e haiñ

kaan lagā kar sun le har guuñj rahā hai naam mirā

jaane kis ke ḳhauf se ghar par vahshat taarī rahtī hai

kaañp rahī hai saqf musalsal laraz rahā hai baam mirā

chhoḌ guzishta ahd bāteñ kaun marā aur kaun jiyā

mujh se mil maiñ ahd-e-ravāñ huuñ aurañgzeb hai naam mirā

Top Urdushayar.com