ye  bātoñ  hī  bātoñ  meñ  bāteñ  badalnā
koī  tum  se  sīkhe  ye  āñkheñ  badalnā
ham  aaseb  ke  Dar  se  ghar  kyuuñ  badal  leñ
parindoñ  pe  jachtā  hai  shāḳheñ  badalnā
kuchh  apnā  bhī  kah  lo  yuuñ  kab  tak  chalegā
radīfeñ  uchaknā  zamīneñ  badalnā
vahī  ġham  se  aarī  haiñ  kār-e-jahāñ  meñ
jinheñ  ḳhuub  aatā  hai  rāheñ  badalnā
ye  jiinā  bhī  shatranj  hī  ne  sikhāyā
ki  chāloñ  ke  lagne  pe  chāleñ  badalnā
rivāyat  rahī  hai  yahī  fī  zamāna
nazariye  badalnā  kitābeñ  badalnā
ye  tujh  se  hī  sīkhā  hai  jān-e-tamannā
zarā  sī  udāsī  meñ  bāñheñ  badalnā