ishq  kyā  hai  bebasī  hai  bebasī  kī  baat  kar
ye  bhī  koī  zindagī  hai  zindagī  kī  baat  kar
karb  se  TuuTā  nahīñ  maiñ  dard  se  martā  nahīñ
mujh  pe  taarī  be-hisī  hai  be-hisī  kī  baat  kar
vaqt  se  laḌtā  huā  taqdīr  se  uljhā  huā
maiñ  nahīñ  huuñ  sar-kashī  hai  sar-kashī  kī  baat  kar
tū  ḳhudā  jis  ko  banāne  par  ba-zid  hai  nā-samajh
vo  faqat  ik  aadmī  hai  aadmī  kī  baat  kar
vaqt  kab  kā  mar  chukā  hai  aaj  bhī  zinda  huuñ  maiñ
tū  nahīñ  to  kyā  kamī  hai  is  kamī  kī  baat  kar
fā.elātun  fā.elun  se  ham  bhī  vāqif  haiñ  magar
ye  hamārī  shā.irī  hai  shā.irī  kī  baat  kar