Aurang zeb

ashk ko dariya banaya aankh ko sahil kiya

Aurang zeb

ashk ko dariyā banāyā aañkh ko sāhil kiyā

maiñ ne mushkil vaqt ko kuchh aur bhī mushkil kiyā

ek māyūsī dil meñ kab talak rahtī mire

maiñ ne māyūsī meñ dil ḳhauf bhī shāmil kiyā

niiñd imdād jaise baham pahuñchī mujhe

aañkh ke maqtal meñ apne ḳhvāb ko dāḳhil kiyā

varna terā chhoḌ jaanā jaan le jaatā mirī

karb meñ aañsū milā kar dard ko zaa.il kiyā

jaise duniyā dekhtī hai vaise kab tak dekhte

dīda-e-bīnā se dekheñ ḳhud ko is qābil kiyā

ek chehra aur do āñkheñ le ga.e bāzār meñ

girvī rakh ke un ko phir ik aa.ina hāsil kiyā

varna vo kab baat suntā thā kisī bazm meñ

maiñ ne apne sher se us shaḳhs ko qaa.il kiyā

be-niyāzī se guzāre umr ke battīs saal

kho diyā kab jaane tujh ko kab tujhe hāsil kiyā

rāt-din ulTā laTak kar zaat ke kuueñ meñ 'zeb'

soch nā-puḳhtagī ko mashq se kāmil kiyā

Top Urdushayar.com