kyā  āsmāñ  se  rabt-e-yaqīñ  mahv-e-ḳhvāb  hai
soī  huī  hai  ḳhāk-e-zamīñ  mahv-e-ḳhvāb  hai
hai  niiñd  meñ  itā.at-o-irfāñ  kā  silsila
sajdoñ  ke  saath  saath  jabīñ  mahv-e-ḳhvāb  hai
so.e  hue  to  so.e  haiñ  dekho  magar  yahāñ
jo  jāgtā  hai  vo  bhī  kahīñ  mahv-e-ḳhvāb  hai
ye  shahr  gahrī  niiñd  meñ  jaatā  nahīñ  kabhī
har  shaḳhs  apne  apne  ta.iiñ  mahv-e-ḳhvāb  hai
ik  ik  sitāra  niiñd  kī  haibat  meñ  hai  sharīk
vo  raat  hai  ki  māh-e-mubīñ  mahv-e-ḳhvāb  hai
āñkhoñ  se  uTh  rahā  hai  dhuāñ  aur  dhueñ  se  dukh
jalte  hue  makāñ  meñ  makīñ  mahv-e-ḳhvāb  hai
parkār  chal  rahī  hai  kahīñ  gahrī  niiñd  meñ
ai  'zeb'  merā  hāshiya-bīñ  mahv-e-ḳhvāb  hai