rañg  to  maujūd  kī  tasvīr  ho  sakte  nahīñ
vo  jo  manzar  ḳhvāb  haiñ  ta.abīr  ho  sakte  nahīñ
kyuuñ  mujhe  ash.ār  kahne  kā  hunar  us  ne  diyā
mujh  se  mere  dukh  agar  tahrīr  ho  sakte  nahīñ
aañkh  meñ  manzar  to  aa  sakte  haiñ  sūrat  oḌh  kar
aa.ine  to  aks  se  zanjīr  ho  sakte  nahīñ
maiñ  hī  apne  dard-o-ġham  likkhūñgā  apne  haath  se
ye  janāze  aap  se  tahrīr  ho  sakte  nahīñ
sarf  ho  jā.eñge  ham  us  kī  mohabbat  meñ  yūñhī
sarf  ho  jā.eñge  ham  tasḳhīr  ho  sakte  nahīñ
is  zamīñ  kī  Toh  meñ  rahnā  himāqat  hai  miyāñ
jis  zamīñ  pe  sher  bhī  ta.amīr  ho  sakte  nahīñ
guftugū  ye  kah  rahī  hai  baat  meñ  halke  ho  tum
so  murīdī  meñ  raho  tum  piir  ho  sakte  nahīñ
niiñd  to  be-kār  meñ  in  kosnoñ  kī  zad  meñ  hai
ḳhvāb  hī  aise  haiñ  jo  ta.abīr  ho  sakte  nahīñ
is  ko  sehl-e-mumtana.a  meñ  baat  aa.egī  samajh
'zeb'  aise  sher  to  tafsīr  ho  sakte  nahīñ