kaisā  manzar  guzarne  vaalā  thā
aañkh  se  Dar  guzarne  vaalā  thā
vo  ajab  rahguzār  thī  jis  kā
mustahiq  har  guzarne  vaalā  thā
vaqt  se  maiñ  guzar  rahā  thā  magar
vaqt  mujh  par  guzarne  vaalā  thā
ek  hī  dil  milā  thā  aur  dil  bhī
kuchh  na  kuchh  kar  guzarne  vaalā  thā
us  ne  bheje  the  ashk  manzar  meñ
ḳhushk  se  tar  guzarne  vaalā  thā
mere  raste  ko  kar  diyā  hamvār
mujh  se  behtar  guzarne  vaalā  thā
jaañ  hathelī  pe  rakh  ke  maqtal  se
ek  ḳhud-sar  guzarne  vaalā  thā
maiñ  ne  zanjīr  rail  meñ  khīñchī
jab  mirā  ghar  guzarne  vaalā  thā
shukr  hai  kaam  aa  ga.ī  hikmat
ḳhair  se  shar  guzarne  vaalā  thā
maiñ  vahī  kar  nahīñ  sakā  sad-haif
kaam  jo  kar  guzarne  vaalā  thā
mere  dil  kī  havā  se  'zeb'  us  din
mor  kā  par  guzarne  vaalā  thā