ab  koī  aur  musībat  to  na  paalī  jaa.e
us  kī  yādoñ  se  bhī  ab  jaan  chhuḌā  lī  jaa.e
vo  bhī  mere  liye  kuchh  sochtā  hai  sochtā  huuñ
kaise  dil  se  mire  ye  ḳhām-ḳhayālī  jaa.e
ziist  be-rabt  hai  par  hai  to  ḳhudā  kī  ne.amat
jis  tarah  se  bhī  ye  nibhtī  hai  nibhā  lī  jaa.e
aise  bhī  dost  haiñ  kuchh  jin  kā  yahī  maqsad  hai
vaar  kyā  un  kī  koī  baat  na  ḳhālī  jaa.e
yaad  jis  kī  hameñ  sone  nahīñ  detī  aksar
us  sitamgar  kī  bhī  ab  niiñd  churā  lī  jaa.e
us  ke  dar  se  maiñ  yahī  soch  ke  lauT  aayā  huuñ
'zeb'  ab  ke  bhī  na  dastak  mirī  ḳhālī  jaa.e