āñkhoñ  ke  darīchoñ  se  sarāb  utre  haiñ  kitne
ik  jaañ  hai  magar  is  pe  azaab  utre  haiñ  kitne
shāyad  tumheñ  khoī  huī  jannat  kahīñ  mil  jaa.e
dekho  mirī  in  āñkhoñ  meñ  ḳhvāb  utre  haiñ  kitne
jab  sā.at-e-ehsāñ  thī  to  ik  buuñd  na  barsī
jab  uTh  ga.e  pyāse  to  sahāb  utre  haiñ  kitne
duniyā  tujhe  maiñ  dekhūñ  to  kin  āñkhoñ  se  dekhūñ
ik  shaḳhs  ke  chehre  se  naqāb  utre  haiñ  kitne
har  rauzan-e-zindāñ  se  lahū  jhāñk  rahā  hai
ghar  ghar  tirī  chāhat  ke  gulāb  utre  haiñ  kitne
naġhmoñ  kā  fusūñ  chāñd  kī  zau  phuul  kī  ḳhushbū
us  husn-e-dil-ārā  pe  shabāb  utre  haiñ  kitne
ashkoñ  ko  safī'  hañs  ke  luTā  dil  ko  lahū  kar
tere  liye  ab  kār-e-savāb  utre  haiñ  kitne