vo  jo  sab  kuchh  hai  use  duur  biThā  rakkhā  hai
ḳhvāhisheñ  haiñ  jinheñ  ma.abūd  banā  rakkhā  hai
kuchh  to  hai  tīrgī-e-dil  meñ  ujāle  ke  liye
tū  nahīñ  hai  tirī  yādoñ  ko  bulā  rakkhā  hai
har  koī  apne  hī  partav  meñ  hai  sargarm-e-safar
maiñ  ne  māhaul  ko  ā.īna  dikhā  rakkhā  hai
us  kā  bātin  bhī  hai  ḳhurshīd-e-qayāmat  kī  tarah
ye  jo  ik  taaq  meñ  chhoTā  sā  diyā  rakkhā  hai
ek  lahza  mirī  tanhā.ī  meñ  aa  kar  dekho
maiñ  ne  zindāñ  meñ  bharā  shahr  basā  rakkhā  hai
sar-e-darbār  jo  pūchho  to  mirā  jurm  hai  ye
maiñ  ne  kyoñ  shahr  meñ  āñkhoñ  ko  khulā  rakkhā  hai
kabhī  do  bol  mohabbat  ke  bhī  ai  jān-e-'safī'
jab  bhī  dekho  tire  hoñToñ  pe  lagā  rakkhā  hai