duniyā  ne  sach  ko  jhuuT  kahā  kuchh  nahīñ  huā
itnā  lahū  zamīñ  pe  bahā  kuchh  nahīñ  huā
pahle  bhī  karbalā  meñ  mashiyyat  ḳhamosh  thī
ab  ik  charāġh  aur  bujhā  kuchh  nahīñ  huā
fir.aun-e-maslahat  sar-e-tūr-e-nazar  rahe
muusā  bhī  le  ke  aa.e  asā  kuchh  nahīñ  huā
mere  lahū  ko  chehre  pe  mal  kar  mirī  zamīñ
detī  rahī  falak  ko  sadā  kuchh  nahīñ  huā
taslīs-e-be-hisī  ne  haram  ko  zubūñ  kiyā
qur.āñ  bhī  rehl-e-jāñ  se  girā  kuchh  nahīñ  huā
shal  ho  ga.e  haiñ  haath  duā  māñgte  hue
ab  kyā  kahūñ  ki  mere  ḳhudā  kuchh  nahīñ  huā
dekheñ  vo  sub.h-e-amn  kab  aa.e  'safī'-hasan
ab  tak  sivā-e-jaur-o-jafā  kuchh  nahīñ  huā