saroñ  pe  dhuup  to  āñkhoñ  meñ  ḳhvāb  patthar  ke
vo  sañg-dil  the  so  utre  azaab  patthar  ke
havā-e-kūcha-e-jānāñ  se  haal  pūchā  thā
isī  ḳhatā  pe  mile  haiñ  javāb  patthar  ke
ye  kaun  sañg-e-sifat  pāniyoñ  meñ  utrā  hai
uThe  haiñ  āb-e-ravāñ  se  habāb  patthar  ke
havā.eñ  bāñjh  zamīñ  be-samar  nazar  vīrāñ
ki  ab  ke  barse  hoñ  jaise  sahāb  patthar  ke
talāsh-e-manzil-e-jānāñ  meñ  rahne  vāloñ  ko
ḳhudā  mile  bhī  to  ḳhāna-ḳharāb  patthar  ke
ye  kaisā  mausam-e-gul  hai  ye  kaisā  gulshan  hai
ravish  ravish  meñ  khile  haiñ  gulāb  patthar  ke
koī  vahāñ  ġham-e-insāñ  kī  baat  kyā  jaane
'safī'  jahāñ  pe  hoñ  izzat-ma.āb  patthar  ke