saarā  badan  hai  ḳhuun  se  kyuuñ  tar  use  dikhā
shah-rag  kaTī  hai  jis  se  vo  nashtar  use  dikhā
aa.egī  kaise  niiñd  dikhā  vo  hunar  use
phir  is  ke  ba.ad  ḳhvāb  ko  chhū  kar  use  dikhā
āñkhoñ  se  apne  ashk  ke  tāroñ  ko  toḌ  kar
sūkhī  nadī  ke  dard  kā  manzar  use  dikhā
dukh-sukh  jo  dhuup  chhāñv  kā  ik  khel  hai  to  phir
sūraj  ke  saath  bādaloñ  ke  par  use  dikhā
aa.e  jo  koī  shīshe  kā  paikar  liye  hue
to  apne  dasht-e-shauq  meñ  patthar  use  dikhā
pūchhe  jo  zindagī  kī  haqīqat  koī  'jamāl'
to  chuTkiyoñ  meñ  ret  uḌā  kar  use  dikhā