dard  kī  raat  guzartī  hai  magar  āhista
vasl  kī  dhuup  nikhartī  hai  magar  āhista
āsmāñ  duur  nahīñ  abr  zarā  nīche  hai
raushnī  yuuñ  bhī  bikhartī  hai  magar  āhista
tum  ne  māñgī  hai  duā  Thiik  hai  ḳhāmosh  raho
baat  patthar  meñ  utartī  hai  magar  āhista
terī  zulfoñ  se  use  kaise  judā  kartā  maiñ
zindagī  yuuñ  bhī  sañvartī  hai  magar  āhista