Farooq Nazki

yunhi kar lete hain auqat basar apna kya

Farooq Nazki

1940

yūñhī kar lete haiñ auqāt basar apnā kyā

apne shahr meñ haiñ shahr-badar apnā kyā

raat lambī hai chalo ġhībat-e-yārāñ kar leñ

shab kisī taur to ho jaa.e basar apnā kyā

dūriyāñ fāsle dushvār guzargāheñ haiñ

hai yahī shart-e-safar raḳht-e-safar apnā kyā

tujh se ab izn-e-takallum bhī agar mil jaa.e

lab hileñ na hileñ aañkh ho tar apnā kyā

jaam phir taaza karo raat bahut lambī hai

kuchh to karnā hai miyāñ tā-ba-sahar apnā kyā

Top Urdushayar.com