paḌī  rahegī  agar  ġham  kī  dhuul  shāḳhoñ  par
udaas  phuul  khileñge  malūl  shāḳhoñ  par
abhī  na  gulshan-e-urdu  ko  be-charāġh  kaho
khile  hue  haiñ  abhī  chand  phuul  shāḳhoñ  par
nikal  paḌe  haiñ  hifāzat  ko  chand  kāñTe  bhī
huā  hai  jab  bhī  guloñ  kā  nuzūl  shāḳhoñ  par
havā  ke  sāmne  un  kī  bisāt  hī  kyā  thī
dikhā  rahe  the  bahāreñ  jo  phuul  shāḳhoñ  par
nisār-e-gul  ho  milā  hai  ye  izn  bulbul  ko
huā  hai  hukm  gul-e-tar  ko  jhuul  shāḳhoñ  par
vo  phuul  pahuñche  na  jaane  kahāñ  kahāñ  'rahbar'
nahīñ  thā  jin  ko  Thaharnā  qubūl  shāḳhoñ  par