aa.ina  sāmne  rakhoge  to  yaad  ā.ūñgā
apnī  zulfoñ  ko  sañvāroge  to  yaad  ā.ūñgā
rañg  kaisā  ho  ye  sochoge  to  yaad  ā.ūñgā
jab  nayā  suiT  ḳharīdoge  to  yaad  ā.ūñgā
bhuul  jaanā  mujhe  āsān  nahīñ  hai  itnā
jab  mujhe  bhūlnā  chāhoge  to  yaad  ā.ūñgā
dhyān  jā.egā  bahar-hāl  mirī  hī  jānib
tum  jo  puujā  meñ  bhī  baiThoge  to  yaad  ā.ūñgā
ek  din  bhīge  the  barsāt  meñ  ham  tum  donoñ
ab  jo  barsāt  meñ  bhīgoge  to  yaad  ā.ūñgā
chāñdnī  raat  meñ  phūloñ  kī  suhānī  rut  meñ
jab  kabhī  sair  ko  nikaloge  to  yaad  ā.ūñgā
jin  meñ  mil  jaate  the  ham  tum  kabhī  aate  jaate
jab  bhī  un  galiyoñ  se  guzroge  to  yaad  ā.ūñgā
yaad  ā.ūñgā  udāsī  kī  jo  rut  aa.egī
jab  koī  jashn  manāoge  to  yaad  ā.ūñgā
shelf  meñ  rakkhī  huī  apnī  kitāboñ  meñ  se
koī  dīvān  uThāoge  to  yaad  ā.ūñgā
sham.a  kī  lau  pe  sar-e-shām  sulagte  jalte
kisī  parvāne  ko  dekhoge  to  yaad  ā.ūñgā
jab  kisī  phuul  pe  ġhash  hotī  huī  bulbul  ko
sehn-e-gulzār  meñ  dekhoge  to  yaad  ā.ūñgā